Alvida to nahi Lyrics – Rangoon | Arijit Singh

Alvida to nahi Lyrics (Full Song)- Rangoon Arijit Singh
Alvida to nahi Lyrics (Full Song)- Rangoon Arijit Singh

Song Details:
Song: Alvida
Singer: Arijit Singh
Music Director: Vishal Bhardwaj
Lyrics: Gulzar

Alvida to nahi Lyrics


Alvida, alvida to nahi
Alvida, alvida to nahi
Jism se jaan juda to nahi

Alvida, alvida toh nahi
Jism se jaan juda toh nahi

Rooh mein beh raha hai tu
Rooh mein beh raha hai tu
Aye, kahin tu Khuda toh nahin
Alvida, alvida toh nahin..

Koi roshni si hai ya koi khushboo hai
Mere tan-badan mein hai kaun main ya tu hai

Jaaniya ve…
Ek chhota sa mera zindagi se gila hai
Aisa mukhtasar kyun dil ka silsila hai

Sach bata sab khala toh nahi
Jism se jaan juda toh nahi

Jaaniya ve…

Jaaniya ve jaaniya ve
Jaaniya ve jaaniyaa…
Jaaniya ve jaaniyaa…

Chal ek baar,
Chal ek baar uss paar chal ke dekhein
Woh jo door door hai noor mal ke dekhein

Janiya ve…
Chal barf ke jab uss taraf niklenge
Sab chhod chhaad taaron ki aad mil lenge

Yoon kabhi koi jiya toh nahi
Jism se jaan juda toh nahi

Rooh mein beh raha hai tu
Rooh mein beh raha hai tu
Aye, kahin tu Khuda toh nahin…

Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!

You may also like...

Recently Published Songs