Mantoiyat Lyrics – Raftaar & Nawazuddin Siddiqui | 18+

Mantoiyat Lyrics – Raftaar & Nawazuddin Siddiqui | 18+
Mantoiyat Lyrics - Raftaar & Nawazuddin Siddiqui | 18+Song Details:
Song: Mantoiyat
Movie: Manto
Lyrics: Raftaar and Saadat Hasan Manto
Rhythm And Percussion: Raftaar
Guitars: Tenzing Lama
Label: Zee Music Company

Mantoiyat Lyrics


Raftaarrrr…..
Sawal Yeh Hai Ki Jo Chiz Jaisi Hai
Usse Waisi Hi Pesh Kyu Na Kiya Jaaye
Main Toh Bus Aapni Kahaaniyon Ko
Ek Aaina Samjhata Hoon Jisme
Samaaj Aapne Aapko Dekh Sake
Aa.. Aaina Na Dekhna Chahe Samaaj Mera
Ah.. Puche Mera Kal Na Dekhte Yeh Aaj Mera
Ah.. Khodate Kharodate Yeh Meri Galatiyan
Main Bhi Chal Diya
Meri Soch Pe Hai Raj Mera
Kaan Band Aankhe Band Inke Muh Pe Taale
Inpe Jor Na Ki Satya Pe Prakash Daale
Bole Sach Jo Uske Cheere Pe Tezaab Daale
Ghume Fir Khule Me Aur Jaale Jo Wo Nakaab Daale
O O Off Hai Dimag Sabka Off Hai
Zamaana Kya Kahega Iska Hi Toh Sabko Khauff Hai
Daabke Jeete Hai Daabane Ke Yeh Aadhi Hai
SE*.. Nishedh Hai Toh Itni Kyu Aabaadi Hai
Log Yeh Hai Aatma Se Khokale
Khud Kare Toh Thik Baaki Kare Doogale

Gaali De Doon Hindi Me Toh Bole Aisa Kyu Kiya
FU** Kyu Hai Cool Jaane Galat Kyu Hai CHU****
Kya Iss Tarah Ke Alfaz Hame
Sadako Pe Sunayi Nahi Padte
Manto Ek Insaan Hai
Man Man Manto
Manto Ek Insaan Hai
Manto Ek Insaan Hai
Mujh Par Ilzam Hai
Mujh Par Mujh Par
Mujh Par Ilzam Hai
Manto Ek Insaan Hai
Jaat Mein Yeh Baatate Hai Baat Ke Yeh Kaatate Hai
Kaatne Waale Khat Pe Hai Inki Mauj Raat Me Hai
Laal Batti Wali Gaddi Glass Inke Hath Me Hai
Rajneeti Me Hai Chor Police Inke Sath Me Hai
Meri Baate Tumhe Sach Nahi Lagti
Sachi Baate Tumko Yaara Pacch Nahi Sakti
Mujhse Naa Samaj Hai Dugane Meri Age Ke
Ek Pair Kabar Me Yeh Bhuke Hai Dahej Ke
Betiyon Ko Maarte Betiya Na Paalte
Betiyon Pe Dusro Ki Yeh Nazare Gaandi Daalte
Ladkiya Patake Unko Bandi Bolte Hai
Aur Jo Raazi Na Hoon Unko Saa*** Ran*** Bolte Hai
Baa Par Roz Maa Pe Roz Hath Jo Uthayega
Bezuban Bolne Se Phele Shikh Jaayega
Ki Mard Tab Banega Jab Tu Aurate Daabayega
Soch Yeh Rahi Toh Jaldi Desh Doob Jaayega
Main Society Ki Choli Kya Utaarunga
Joh Phele Se Hi Nangi Hai
Usse Kapde Pehnana Mera Kaam Nahi Hai

Main Kaali Takti Par Safed Chalk Istamaal Karta Hoon
Taaki Kaali Takti Aur Nimaya Hojaaye
Manto Ek Insaan Hai
Mene Ghanto Padha Hai Tumko Manto
Tumhare Jaisa Baanu Kare Mera Maan Toh
Inn Panto Ko Sach Nahi Dikhta
Saatar Saal Aazaadi Ke Aisa Charge Bhi Nahi Bikta
Agar Aap Meri Kahaaniyon Ko
Bardasht Nahi Kar Sakti
Toh Iska Matlab Yeh Hai Ki
Zamaana Hi Naqabil E Bardasht Hai…

Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics!

You may also like...

Recently Published Songs