iLyricsHub

Bhagwan Aur Khuda Lyrics – Manoj Bajpayee

By Published on: (Updated on: 06/15/2020)

Bhagwan Aur Khuda Lyrics by Manoj Bajpayee is Latest Hindi Poem written by Milap Milan Zaveri. This beautiful poem sung by Manoj Bajpai ann music of this new song is given by Lijo George while video is released by T-Series.

Bhagwan Aur Khuda Lyrics Manoj Bajpayee
Bhagwan Aur Khuda Song Details:
Song: Bhagwan Aur Khuda
Singer: Manoj Bajpai
Lyricist: Milap Milan Zaveri
Musician: Lijo George
Label: T-Series

Bhagwan Aur Khuda Lyrics

Bhagwan Aur Khuda
Aapas Mein Baat Kar Rahe The
Mandir Aur Masjid Ke Bich
Chaurahe Par Mulaqaat Kar Rahe The

Ke Haath Jode Ho Ya Dua Mein Uthe
Koyi Fark Nahi Padta Hai
Koyi Mantra Padhta Hai
Toh Koyi Namaaz Padhta Hai

Insaan Ko Kyun Nahi Aati Sharam Hai
Jab Woh Bandook Dikha Kar Poochhta Hai
Ki Kya Tera Dharam Hai

Uss Bandook Se Nikli Goli
Na Eid Dekhti Hai Na Holi
Sadak Pe Bas Sajti Hai
Begunah Khoon Ki Holi

Bhagwan Aur Khuda
Aapas Mein Baat Kar Rahe The
Mandir Aur Masjid Ke Bich
Chaurahe Par Mulaqaat Kar Rahe The

Sab Ko Hum Dono Ne Issi Mitti Se Banaya
Koi Janma Ammy Ki Kokh Se
To Koyi Maa Ke God Mein Rota Aaya
Kon Hai Woh Kambakht
Jisne Nafrat Ka Paath Padhaya

Kisi Akbar Ko Kaha Maa Ko Maar
Aur Amar Ko Haatho Ammi Ko Marwaya

Mamta Ka Gala Goth Ne Wale Bewkoofon Ko
Koi Samjhaao Mazhub Ki Is Jang Mein
Tumne Insaniyat Ko Dafnaya

Bhagwan Aur Khuda
Aapas Mein Baat Kar Rahe The
Mandir Aur Masjid Ke Bich
Chaurahe Par Mulaqaat Kar Rahe The

Written by: Milap Milan Zaveri

Bhagwan Aur Khuda Music Video

Found Any Mistake in Lyrics/Highlights? Please Report here with Correction! Report Correction

Share this:

Recently Published Songs