Sampoorna Geeta And Mahabharat In 9 Minutes RAP Lyrics – Abby Viral x Kavi Amit Sharma

By
Follow iLyricsHub on Google NewsFollow iLyricsHub on WhatsApp

Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP Lyrics by Abby Viral and Kavi Amit Sharma! This full version blends powerful lyrics and stunning visuals to take you through the entire story of the Mahabharata — from the battle of Kurukshetra to Lord Krishna’s teachings in the Bhagavad Gita. You’ll see famous characters like Arjun, Draupadi, and Duryodhana, all brought to life in an exciting and modern way. It’s not just a rap — it’s a journey full of motivation, inspiration, and timeless wisdom.

We always try to provide the most accurate lyrics in a well-organised format! While searching for any song lyrics on google, be sure to add 'iLyricsHub' at the end to get correct lyrics.

Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP Lyrics

Talwar Dhanush Aur Paidal Sainik Kurukshetra Mein Khade Hue
Rakt Pipasu Maharathi Ik Dooje Samne Aade Hue
Kai Lakh Sena Ke Samne Pandav Paanch Bichare The
Ek Taraf The Yoddha Sab Ek Taraf Samay Ke Maare The

Mahasamar Ki Pratiksha Mein Saare Taak Rahe The Ji
Lekin Parth Ke Rath Ko To Khud Keshav Haak Rahe The Ji

Ranbhoomi Ke Sabhi Najare Dekhne Mein Kuch Khaas Lage
Madhav Ne Arjun Ko Dekha Arjun Unhe Udaas Lage
Kurukshetra Ka Mahasamar Ek Pal Mein Tabhi Saja Daala
Shankh Utha Shri Krishna Ne Mukh Se Phunka Aur Baja Daala

Hua Shankhnad Jaise Hi Waise Sabka Garjan Shuru Hua
Rakt Bikhrena Hua Shuru Aur Sabka Mardan Shuru Hua
Krishna Ne Utho Parth Aur Ek Aankh Ko Meech Zara
Gaandiv Par Rakh Bano Ko Pratyancha Ko Kheench Zara
Aaj Dikha De Ranbhumi Mein Yoddha Ki Taseer Yahan
Is Dharti Par Koi Nahi Hai Arjun Ke Jaisa Veer Yahan

Is Dharti Par Koi Nahi Hai Arjun Ke Jaisa Veer Yahan
Is Dharti Par Koi Nahi Hai Arjun Ke Jaisa Veer Yahan
Is Dharti Par Koi Nahi Hai Arjun Ke Jaisa Veer Yahan
Is Dharti Par Koi Nahi Hai Arjun Ke Jaisa Veer Yahan

Suni Baat Madhav Ki To Arjun Ka Chehra Utar Gaya
Ek Dhanurdhaari Ki Vidya Mano Chooha Kutar Gaya
Bole Parth Suno Kanha Jitne Samne Hai Ye Khade Hue
Inhi Sab Se Seekh Sikh Kar Saare Bhai Hai Bade Hue

Udhar Khade Hai Bhishma Pitamah Mujhko God Khilate The
Guru Dron Ne Dhanush-Baan Ka Saara Gyaan Sikhate The
Sabhi Bhai Par Pyaar Lutaaya Kunti Mata Hamari Ne
Koi Kami Na Chhodi Kabhi Thi Us Mata Gandhaari Ne

Ye Jitne Gurujan Khade Hue Hai Sab Poojne Laayak Hai
Maana Liya Duryodhan Dusasan Thode Se Naalayak Hai
Main Apraadh Kshama Karta Hoon Beshak Hum Hi Chhote Hai
Ye Jaise Bhi Hai Aakhir Madhav Sab Taau Ke Bete Hai

Itne Se Bhukh Bhag Ki Khatir Hinsak Nahi Banunga Main
Swarn Taakkar Apne Kul Ka Vidhwansak Nahi Banunga Main
Khoon Sane Haathon Ko Hota Raj-Bhog Adhikaar Nahi
Sabko Maar Ke Gaddi Mile To Singhansan Sveekar Nahi

Rath Par Baith Gaya Arjun Munh Madhav Se Tha Mod Diya
Aankhon Mein Aansoo Bharkar Gaandiv Jo Haath Se Chhod Diya

Gaandiv Jab Chhuta Tab Madhav Bhi Kuch Akuchaye The
Shishya Parth Par Garv Hua Aur Man Hi Man Harshaye The
Man Mein Soch Liya Arjun Ki Buddhi Na Satne Dunga
Samr Bhoomi Mein Parth Ko Kamzor Nahi Padhne Dunga

Dharm Bachane Ki Khatir Fir Nav Abhiyaan Shuru Hua
Uske Baad Jagat Guru Ka Geeta Gyaan Shuru Hua

Ek Nazar Mein Ranbhoomi Ke Kan-Kan Dol Gaye Madhav
Tak-Taki Baandh Ke Dekha Arjun Ekdam Bol Gaye Madhav –
Hey! Parth Mujhe Pehle Batlate Mai Samvad Nahi Karta
Tum Saare Bhaiyon Ki Khatir Koi Vivaad Nahi Karta

Paanchali Ke Tan Par Lipte Saadi Kheench Rahe The Wo
Doshi Wo Bhi Utne Hi Hai Jabda Bhinch Rahe The Jo
Ghar Ki Izzat Tadap Rahi Koi Do Took Nahi Bole
Pautra Bahu Ko Nagn Dekhkar Ganga Putra Nahi Khaale

Tum Kayer Ban Kar Baithe Ho Ye Parth Badi Besharmi Hai
Sambandh Unhi Se Nibha Rahe Jo Log Yahan Adharmi Hai
Dharm Ke Upar Yahan Aaj Bhaari Sankat Hai Khada Hua
Aur Tera Gaandiv Parth Kyon Rath Ke Kone Mein Pada Hua

Dharm Pe Sankat Ke Baadal Tum Chhane Kaise Dete Ho
Kayarata Ke Bhaav Ko Man Mein Aane Kaise Dete Ho
Hey Pandu Ke Putra! Dharm Ka Kaisa Karz Utaara Hai
Shole Hone The! Aankhon Mein Par Bahte Jal Dhaara Hai

Dharm-Adharm Ki Gahraayi Mein Khud Ko Naap Raha Arjun
Ashrundhaar Phir Tez Hui Aur Thar-Thar Kaamp Raha Arjun
Hey Keshav! Ye Rakt Svem Ka Peena Nahi Saral Hoga
Yadi Vijay Hue To Bhi Yahaan Jeena Nahi Saral Hoga

Hey Madhav! Mujhe Batlao Kul Naashak Kaise Ban Jaoon
Rakh Singhansan Laasho Par Main Shaasak Kaise Ban Jaoon
Kaise Uthenge Kar Un Par Jo Kar Par Adhar Lagate Hai?
Karne Ko Jinka Swagat Ye Kar Bhi Khud Jud Jate Hai

Inhi Karo Ne Baalya Kaal Mein Sabke Pair Dabaye Hai
Inhi Karo Ko Pakad Karo Main Pitamah Muskaaye Hai
Nok Jo Apne Baano Ki Phir Inki Or Karunga Main
Keshav Mujhko Mrityu De Do Usse Poorv Marunga Main

Baad Yudh Ke Mujhe Na Kuch Bhi Paas Dikhai Deta Hai
Madhav! Is Ranbhoomi Mein Bas Naash Dikhai Deta Hai
Baat Bahut Bhaavuk Thi Par Jagat Guru Muskaate The
Gyaan Ki Ganga Geeta Dwara Chakradhari Barsate The

Janm-Maran Ki Yoddha Yahan Pe Bilkul Chaah Nahi Karte
Kya Hoga Anjaam Yudh Ka Ye Parvah Nahi Karte
Hey Parth! Yahan Kuch Mat Socho Bas Karm Mein Dhyaan Lagao Tum!
Baad Yudh Ke Kya Hoga Ye Mat Anumaan Lagao Tum

Is Duniya Ke Raktpaat Mein Koi To Ahsas Nahi
Nij Jeevan Ka Kare Faisla Nar Ke Bas Ki Ye Baat Nahi
Tum Na Jeevan Dene Wale Nahi Maarne Wale Ho
Na Jeet Tumhare Haathon Mein Tum Nahi Haarne Wale Ho

Ye Jeevan Deepak Ki Bhanti Yun Hi Jalta Rehta Hai
Pawan Veg Se Bujh Jata Hai Warna Jalta Rehta Hai
Manav Vash Mein Shesh Nahi Kuch Phir Bhi Manav Darta Hai
Woh Mar Kar Bhi Amar Hua Jo Dharm Ki Khatir Marta Hai

Na Satta Sukh Se Hota Hai Na Sammaano Se Hota Hai
Jeevan Ka Saar Safal Bas Balidaano Se Hota Hai
Dehdaan Yoddha Hi Karte Hai Na Koi Dhooja Jata Hai
Ranbhoomi Mein Veer Mare To Shav Bhi Pooja Jata Hai

Sena Yudh Mein Jaise Apne Khotey Shastra Badalti Hai
Divya Aatma Manav Deh Mein Waise Vastr Badalti Hai

Hey Keshav! Kuch Samajh Gaya Par Kuch-Kuch Asamajhs Mein Hoon
Itna Samajh Gaya Ki Main Na Swem Hi Khud Ke Vash Mein Hoon

Ye Maan Aur Samman Batao Jeevan Ke Apmaan Batao
Jeevan Mrityu Kya Hai Madhav? Ran Mein Jeevan Daan Batao
Kaam Krodh Ki Baat Kahi Mujhko Uttam Kaam Batao
Are! Khud Ko Ishwar Kehte Ho To Jaldi Apna Naam Batao

Itna Sunte Hi Madhav Ka Dheeraj Poora Dol Gaya
Teeno Loko Ka Swami Phir Behad Gusse Mein Bol Gaya
Saare Srishti Ko Bhagwan Behad Gusse Mein Laal Dikhe
Devalok Ke Dev Dare Sabko Madhav Mein Kaal Dikhe

Are! Kaan Khol Kar Suno Parth Main Hi Treta Ka Ram Hoon
Krishna Mujhe Sab Kehte Hai Main Dwapar Ka Ghanashyam Hoon

“Roop Kabhi Nar Naari Ka Dhar Ke Main Hi Kesh Badalta Hoon
Dharm Bachane Ki Khaatir Mein Bhes Badalta Hoon!”

“Vishnu Ji Ka Dasham Roop Main Parshuram Matwala Hoon
Na Kaaliya Ke Phaen Pe Main Mardan Karne Waala Hoon!”

“Vakaasur Aur Mahishasur Ko
Maine Zinda Kar Diya Narasimha Ban Ke
Dharm Ki Khaatir Hiranyakashyap Faad Diya!”

“Rakta Nik Nahi Bhi Chalta Hai
Main Hi Aage Badhta Hoon
Dhanush Haath Mein Tere Par
Ranbhoomi Mein Ladta Hoon!”

Itna Kehkar Maun Hue Phir Khud Hi Sakuchaye Keshav
Palak Jhapakte Hi Apne Divya Roop Mein Aaye Keshav
Divy Roop Ka Tej Anokha Sabse Alag Damakta Tha
Kai Lakh Sooraj Jitna Chehre Par Tej Chamakta Tha
Itne Oonche The Bhagwan Sir Lagta Tha
Aur Hazaaron Bujhaane Kar Arjun Ko Darr Lagta Tha

Pavanjal Unke Kadmon Ko Choom Raha Tha Aur
Tarjani Ungli Mein Chakra Sudarshan Ghoom Raha Tha
Nadiyon Ki Kal Kal Saagar Ka Shor Sunai Deta Tha
Shri Krishna Ke Andar Poora Brahmand Dikhai Deta Tha

Jaise Hi Mere Madhav Ka Thoda Sa
Bada Hua Sahma Sahma Tha Arjun Ekdam Rath Par
Phir Khada Hua Geeta Ke Se Seedhe Hriday Mein
Aise Prahaar Hua Mrityu Ke Aalingan Ke Liye
Phir Arjun Tayaar Hua

Main Dharm Bhujha Ka Vaahak Hoon
Mujhko Koi Maar Nahi Sakta
Jiski Rath Par Bhagwan Ho
Wo Yudh Mein Har Nahi Sakta

Jitne Yahaan Adharmi Hain
Chun Chun Kar Unhe Saza Doonga
Itna Rakt Bahaunga
Dharti Ki Pyaas Bujha Doonga

Arjun Ki Aankhon Mein Dharm Ka Raj Dikhai Deta Tha
Parth Mein Ab Ke Keshav Ko Bas Yamraj Dikhai Deta Tha
Jidhar Chale Phir Baan Parth Ke Sab Peeche Hat Jatey The
Ranbhoomi Ke Kone Kone Laashon Se Pat Jatey Hain

Yada Yada Hi Dharmasya Glanir Bhavati Bharata
Abhyutthanam Adharmasya Tadatmanam Srjamy Aham
Paritranaya Sadhunang Vinashay Cha Dushkritam
Dharmasangsthapanarthay Sambhabami Yuge Yuge

Kuru-Kshetra Ki Bhoomi Pe Tab Naach Nachaaya
Arjun Ne Saari Dharti Laal Machaaya Arjun Ne
Bade-Bade Yoddhaon Ko Bhi Naani Yaad Dilayi Thi
Mrityu Ka Wah Taandav Tha Jo Mrityu Bhi Ghabraayi Thi

Aisa Lagta Tha Sabko Mrityu Se Pyaar Hua Hai Jee
Dharm Ka Aisa Yudh Jagat Mein Pehli Baar Hua Hai Jee
Dharmraj Ke Shishya Ke Upar Raajmukut Ki Chhaaya Thi
Par Ye Duniya Jaanti Thi Yeh Bas Ke Shak Ki Maya Thi

Dharm Ki Raksha Karne Waale Daata Daya Nidhan Ki Jiye
Haath Uthakar Saare Bolo Chakradhari Bhagwan Ki Jai!
Dharm Ki Raksha Karne Waale Daata Daya Nidhan Kijiye

Comment Ke Section Mein Saare Bolo Bhagwan Ki Jai!
Chakradhari Bhagwan Ki Jai!

Unverified Lyrics

Found any mistakes in the lyrics/highlights? Please report them here with the correction! Report Correction

Written by:,

If you're enjoying reading lyrics on our site, don't forget to share them with your family and friends! Also, if you've any feedback or suggestions, feel free to share your feedback.

Thank you for being part of our journey, Team iLyricsHub

Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP Music Video

Experience the incredible music video of "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP" delivered to you by Abby Viral. Explore more lyrics by category in various languages from the menu section, or find your favorite lyrics by song name, artist name, or even with a lyrics line using our deep search on iLyricsHub!

Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP Song Details:
Song:Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP
Singers: ,
Lyricists: Abby Viral, Kavi Amit Sharma
Label: Abby Viral

Share this:

  • Share Via WhatsApp
  • Share Via X (Twitter)
  • Share Via Facebook
  • Share Via Telegram

Know More About Song "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP"

What are the singer names of song "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP"?

The singer names of song "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP" are Abby Viral, Kavi Amit Sharma, whose voices are beautifully magical.

Who wrote the lyrics of the song "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP"?

The lyrics of "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP" were written by Abby Viral, Kavi Amit Sharma.

Which record label released the song "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP"?

The song "Sampoorna Geeta And Mahabharat in 9 Minutes RAP" was released under the label Abby Viral.

Recently Published Songs

A to Z